Dusro Ko Bura Kehna Ka Wabaal

* Aaj Hamare Kuch Musalman Ye Kehte Hain Ki,
"Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) Kabhi Kisi Kafir Ko Bhi Bura Nahi Kehte The,
Aur Unke Sath Bhi Achha Akhlaq Istemal Karte The,
Isliye Kafiro/Wahabiyo Ko Bhi Bura Nahi Kehna Chahiye,
Aur Unke Sath Bhi Achha Akhlaq Dikhana Chahiye.
.
* Pehle Hum Apke Samne Nabi (Alaihisalam) Ke Akhlaq Wale Character (Kirdaar) Ki Ek Jhalak Kam Alfazo Mein Pesh Karte Hain.
.
* 1) Ek Aurat Nabi (Alaihisalam) Par Roz Kooda Phekti Thi,
Par Nabi (Alaihisalam) Use Kuch Na Kehte,
Ek Din Jab Wo Aurat Bimar Ho Gayi,
To Aap Uski Mizaj Pursi Ke Liye Uske Ghar Gaye,
Bas Ye Akhlaq Dekh Kar Wo Musalman Ho Gayi.
.
* 2) Ek Aurat Ne Nabi (Alaihisalam) Ko Kabhi Dekha Nahi Tha,
Bas Suna Tha Ki Jo Bhi "Muhammed" (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ka Naam Sunta Hai,
Wo Musalman Ho Jata Hai,
Bas Isi Darr Se Wo Apna Ilaqa Chhor Kar Jane Lagi,
To Khud Nabi (Alaihisalam) Raste Mein Mile,
Aur Uska Saman Utha Kar Uski Manzil Tak Pahuchaya,
Phir Us Aurat Ne Kuch Paise Dena Chaha,
To Aapne Lene Se Mana Kar Diya,
To Aurat Ne Pucha Kam Se Kam Apna Naam Bata Do?
Farmaya 'Muhammed',
Bas Ye Akhlaq Dekh Kar Wo Bhi Musalman Ho Gayi.
.
3) Ek Kafir Nabi (Alaihisalam) Ke Ghar Mein Mehmaan Bankar Hazir Huwa,
To Aapne Use Apne Ghar Me Rakha,
Aur Khatir-Tawazo Farmaya,
Raat Me Us Kafir Ne Apke Bistar Par Najasat Kar Di,
Aur Subah Hote Hi Bhag Gaya,
Phir Kuch Der Ke Baad Wapas Aaya To dekha,
Nabi (Alaihissalam) Khud Apne Hatho Se Uski Najasat Ko Dho Rahe Hain,
Bas Ye Akhlaq Dekh Kar Wo Bhi Musalman Ho Gaya.
.
* Ab Dusri Taraf Dekhye:
.
* HADEES:
Nabi (Alaihissalam) Apne Sahaba Se Farmate Hain,
"Kya Faajir Ko Bura Kehne Se Parhez Karte Ho?
Log Inhe Kab Pehchanenge?
Faajir Ki Buraiya Bayan Karo Taaki Log Is Se Bachen.
(Kanzul Ummal,S-338)
.
* HADEES:
Nabi (Alaihissalam) Ne Farmaya,
"Unhe Apne Se Door Rakho Aur Unse Door Bhago,
Kahin Wo Tumhe Gumrah Na Kar De.
(Muslim,S-10,Baab-un-Noha)
.
* QURAN:
Tum Me Se Jo Unse Dosti Karega,
Wo Unhi Me Se Hai.
(Maidah 51)
.
* HADEES:
Jo Kafiro Se Mohabbat Kare,
Wo Unhi Me Se Hai.
(Musnad Ahmed,7:209)
.
* Ek Shaks Ke Akhri Waqt Par Logo Ne Kalma Padhne Ko Kaha,
To Wo Bola Ye 2-Shaks(Farishte) Khade Keh Rahe Hain Ki,
"Tu Unke Pas Baithta Tha Jo Hazrat Abu Bakar Aur Hazrat Umar Ko Bura Kehte The,
Ab Hum Tujhe Kalma Nahi Padhne Denge.
(Sharahus Sudur-37)
.
* HADEES:
Jab Fitne Zahir Honge,
Aur Aise Me Aalim Apne Ilm Ko Na Zahir Kare,
To Is Par Allah Aur Iske Farishte Aur Tamam Insano Ki Laanat Hai,
Aur Allah Aise Insan Ke Na Farz Qubul Kare,
Na Nafil.
(Bukhari,2-1084)
.
* HADEES:
Jab Tum Kisi Burayi Ko Dekho,
To Use Apne Hath Se Rok Do,
Ye Na Ho Sake To Use Zuban Se Bura Kaho,
Ye Bhi Na Ho To Use Dil Se Bura Jano,
Aur Ye Eiman Ka Sabse Chota Darja Hai.
(Muslim,Kitabul Eiman)
.
* HADEES:
Nabr (Alaihissalam) Ne Abu Jehel, Utba Bin Rabia, Shaiba Bin Rabia Ka Naam Lekar Inke Liye Baddua Farmayi.
(Bukhari,Kitabul Wuzu)
.
* HADEES:
Ek Shaks Masjide Nabwi Me Namaz Padh Raha Tha,
Phir Bhi Nabi (Alaihissalam) Ne Apne Sahaba Ko Hukum Diya Ki Ise Qatl Kar Do.
(Khasaisul Kubra S-229)
.
* HADEES:
Maale Ghanimat Ke Waqt Ek Shaks Ne Nabi (Alaihissalam) Se Kaha,
Adl(Insaf) Kijiye,
Aapne Farmaya,
"Agar Main Adl Na Karu To Kaun Karega",
Bas Ye Sunkar H.Umar Ne Farmaya,
"Huzur,
Aap Ijazat Dijiye,
Main Iski Gardan Maar Du.
(Bukhari 2:621)
.
* HADEES:
Nabi (Alaihissalam) Ne Masjid-e-Nabwi Se 300 Logo Ka Naam Lekar Munafiq Kaha,
Aur Masjid Se Bahar Nikal Diya.
(Muslim,J-1,Kitabul Fitan)
.
* HADEES:
Ek Shaks Ki Biwi Nabi (Alaihissalam) Ki Shan Me Kami Bayan Karti,
To Isper Uske Shauhar Ne Use Qatl Kar Diya,
Nabi (Alaihissalam) Ne Farmaya,
"Iska Qatl Maaf Hai.
(Abu Dawood,1-599)
.
* HADEES:
H.Abu Bakar Siddiq Ne Farmaya,
"Nabi (Alaihissalam) Ke Gustakho Ke Liye Qatl Ka Hukum Hai.
(Nasai 2-153)
.
* HADEES:
Kaab Ibne Ashraf Yahudi Ek Shayar Tha,
Usne Nabi (Alaihissalam) Ke Khilaf Kuch Alfaz Bol Diya,
Nabi (Alaihissalam) Ne Qatl Ka Hukum Farmaya.
(Hashiya Bukhari,2-576)
.
* Ghaur Kijiye,
Nabi (Alaihissalam) Ne Achha Akhlaq Sirf Unke Samne Pesh Kiya,
Jo Islam Ko Jante Nahi The,
Phir Nabi (Alaihissalam) Ka Achha Akhlaq Dekh Kar Islam Qubul Kar Liya,
Lekin Jab Kisi Ne Islam Ko Janne Ke Baad Bhi Islam Me Kharabi Paida Karne Ki Koshish Ki,
To Nabi (Alaihissalam) Ne Unke Liye Bad-Dua Bhi Farmayi,
Unhe Apni Masjido Se Bhi Nikala,
Or Unhe Munafiq Kaha,
Aur Qatl Ka Hukum Bhi De Diya.
Sahaba Ne Qatl Bhi Kiya.
.
* Isliye Pehle To Hum Kisi Bhi Wahabi Ko Akhlaq Se Samjhate Hain,
Par Jab Wo Manne Se Inkar Karta Hai Aur Nabi Alaihissalam Ki Gustakhi Karta Hai,
To Uspar Laanat Karna Aur Uski Burayi Sabke Samne Batana Zaruri Hai,
Taaki Log Use Pehchan Le.
.
* Aye Musalmano!,
Jab Koi Chor Tumhare Ghar Me Chori Karta Hai Tab Tum Use,
Chor Kehte Ho,
Saza dete ho,
Par Jab Koi Nabi (Alaihissalam) Ke Khilaf Bolta Hai To Tum Akhlaq Dikhate ho???
.
* Jab Sahaba Ne Gustakho Ko Qatl Kiya,
To Us Waqt Akhlaq Kyun Nahi Dikhaya?
.
* Aye Musalmano,
Kya Sahaba Ke Pas Akhlaq Nahi Tha?
.
* Ya Phir Tum Apne Akhlaq Ko Sahaba Se Behtar Samajhte Ho?

AHANSARI786

All Text Goes Here ... !!!

No comments:

Post a Comment