PaanCho NamaZein DarMiyani Auqat ke liye Kaffara Hai


Hazrat Abu Saeed Khudri (رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه) Se Riwayat Hai ki,
Unhone Rasool Allah (صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ…) Ko Ye Irshaad Farmate Huwe Suna


" Paancho Namaazein Darmiyani Auqaat Ke Liye Kaffara Hain,
Yaani Ek Namaaz se Dusri Namaaz Tak jo Sagira Gunah Ho Jaate Hain,
Wo Namaaz Ki Barkat Se Ma'af Ho Jaate Hain "
Uske Baad Nabi Kareem (صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ…) Ne Irshaad Farmaya


"Ek Shakhs Ka Koi Kaarkhana Hai,
Jisme Wo Kuch Kaarobaar Karta Hai,
Uske Kaarkhane aur Makaan Ke Darmiyaan Paanch Nehre Padti Hain,
Jab Wo Kaarkhane Mein Kaam Karta Hai,
to Uske Badan Par Mail Lag Jaata Hai Ya Paseenaa Aa Jata Hai,
Phir Ghar Jaate Huwe Har Nahar Par Ghusl Karta Huwa Jaata Hai,
is (Baar Baar Ghusl Karne Se) Uske Jism Par Mail Nahi Rehta,
Yahi Haal Namaaz Ka Hai Ki,
"Jab Bhi Koi Gunaah Kar Leta Hai To Dua-e-Istagfaar Karne Se,
"ALLAH TA'ALA"
Namaaz Se Pehle Ke Tamaam Gunaaho Ko Ma'af Farma Deta Hai. "
[ Bazzaar, Tabrani, Mazm-uz-Waeed : 2/32 ]

AHANSARI786

All Text Goes Here ... !!!