Unhon Ne Kaha Ke Rasool Allah Sallallahu Ta'ala Alaihi Wa Aalihi Wa Sallam Ne Farmaya Ke,
Tamam Amal Ka Sawab Niyaton Se Hai Aur Har Aadmi Ke Liye Wahi Hai Jo Us Ne Niyat Ki.
Jis Shakhs Ki Hijrat Allah Aur Us Ke Rasool Ki Taraf Ho To Us Ki Hijrat Allah Aur Us Ke Rasool Ke Liye Hai,
Aur Jis Shakhs Ki Hijrat Dunya Hasil Karne Ke Liye Ya Kisi Aurat Se Nikah Ke Waste Ho To Us Ki Hijrat Usi Ke Liye Hogi Jis Ki Taraf Us Ne Hijrat Ki Hai
(Innamal A'malu... Al-Kh, Al-Hadith: 1907, Safa 1056)
No comments:
Post a Comment