Aaj kuch aise log bhi hai k unhe Durood e Paak Padhne kahdo to unka Hazmaa Bigad jaata hai wo jarur dhyan de yaha.
Hadees 22 :
Hazrat Jaabir bin Abdullah ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) se rivayat hai k
Rasool E Karim ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) Ne Farmaya :
" Jisne Maahe Ramzan ko Paaya aur Iske Roze Na Rakhe[ Majma Ul Zawaid - Vol 03, Pg : 340, Kitab-us-Saum,Hadees : 4773 ]
wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai,
Jisne Apne Walidain Ya Unme Se Kisi Ek Ko Paaya
aur Unke Saath Accha Sulook Na Kiya
wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai,
Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujh Par Durood Na Padha
wo Shaks Shaki (Yaani Badbakt) Hai. "
Hazrat Abu Hurraira ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) se rivayat hai k
Rasool E Karim ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) Ne Farmaya :
" Halaak Ho Wo Shaks Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujh Par Durood Na Padha,[ Jamai Tirmizi, Vol : 05, Pg : 551, Kitab No 48 - Kitab-ut-Duwaat, Hadees : 3545 ]
Halaak Ho Wo Shaks Jisne Maahe Ramzan ko Paaya Aur Apni Magfirat Na Karwali,
Halaak Ho Wo Shaks isne Apne Walidain Ya Unme Se Kisi Ek Ko Paaya
Aur Unki Khidmaat kar Jannat Na Paa Li "
Hadees 23 :
" Jo Log Apni Majlis Me Allah Ka Zikr Kare Aur Nabi E Paak Par Bina Durood Padhe Uth Gaye To Wo Badbudar Murdaad Se Uthe "[ Imam Bayhaqi - Vol 02 Pg : 210 Hadees : 1070 ]
Hadees 24 :
Hazrat Abdullah ibn Abbas ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Se rivayat hai k
Rasool Allah ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) ne irshad Farmaya :
" Jo Mujhpe Durood Padha Bhool Gaya Usne Jannat Ka Rasta Chod Diya "[ Sunan Ibn Majah, Vol : 01, Pg : 294, Kitab Iqamat-Us-Salat Was-Sunnah Fiha Hadees : 908 ]
Hadees 25 :
" Jiske Pass Mera Zikr Hua Aur Usne Mujhpe Durood Na Padha Usne Jannat Ka Rasta Chod Diya "[ Imam Tabrani Al Majmual Kabeer, Vol : 03, Pg : 128, Hadees : 2887 ]
Hadees 26 :
Hazrat Ali ibn Abu Talib ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) se rivayat hai k
Rasool E Karim ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) Ne Farmaya :
" Bakhil Hai Wo Shaks Jiske Saamne Mera Zikr Hua[ Jamai Tirmizi, Vol : 05, Pg : 551, Kitab No 48 - Kitab-ut-Duwaat, Hadees : 3546 ]
Aur Usne Mujhpe Durood Na Padha "
Read All 26 Hadees