Hadees 19 :
Ameerul Momineen Farooque E Aazam ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Farmate hai
" Dua Aasman Aur Zameen k Darmiyan Muallak (Ruki) Rehti Hai Jab Tak Tu Apne Nabi Par Durood Na Bheje. "[ Sunan Tirmizi, Vol : 02, Kitab No 03 - Kitabul Witr, Baab 21: Maa Ja'aa Fi Salatun Alan Nabi ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) Pg : 29, Hadees : 486 ]
Hadees 20 :
Maula Ali Karmallahu Wajjuhal Karim ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Farmate hai
" Har Shaks Ki Dua Parde Me Hoti Hai Yaha Tak Ki Muhammad ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… )
aur Aale Muhammad Par Durood E Paak Padhe"
[ Imam Tabrani - Al Majmaul Ausat Vol :01, Pg : 211 Hadees : 271 ]
Hadees 21 :
Hazrat Fadalah Bin Ubayd ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Se Marwi Hai
Ek Martaba Nabi-E-Akram ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) Hamare Darmiyan Tashrif Farma They Ki
Achanak Ek Shakhs Aaya Aur Us Ne Namaz Ada Kee Aur Ye Dua Maangi :
" Aye Allah !To Huzoor Nabi-E-Akram ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) Ne Farmaya :
Mujhe Bakhs De Aur Mujh Par Raham Farma. "
Aye Namazi !Raawi Bayan Karte Hain Ki Phir Ek Aur Shakhs Ne Namaz Ada Kee,
Tune Jaldi Kee, Jab Namaz Padh Chuke To Phir Sukoon Se Baith Jaao,
Phir Allah Ta’ala Kee Shayan-E-Shan Us Kee Hamdo Sana Karo,
Aur Phir Mujh Par Durood-o-Salam Bhejo Aur Phir Duaa Maango.
To Us Ne Allah Ta’ala Kee Hamd-o-Sana Bayan Kee,
Aur Huzoor Nabi-E-Akram ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) Par Durood-o-Salam Bheja
To Huzoor Nabi-E-Akram ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) Ne Farmaya :
Aye Namazi ![ Sunan Nasai, Vol : 03, Pg : 44, Kitab No 13 - Kitab As Sauh, Baab No 47 Nabi Pe Durood Bhejne K Fazail Ka Bayan, Hadees : 1284 ]
(Apne Rab) Se Maango Tumhein Ata Kiya Jaayega.”
Imam Nasai ne Is Hadees ko Sahi kaha Hai.
[ Imam Nasai Al Sunan Al Kubra, Vol : 01, Pg : 380, Hadees : 1207 ]
[ Jamai Tirmizi, Vol : 05, Pg : 516, Kitab No 48 - Kitab ud Dua, Baab No 64, Hadees : 3476 ]
[ Sahi ibn Khuzaima Vol : 01, Pg : 351, Hadees : 709 ]
kuch log aise mardood bhi milenge jo kehte hai k
namaz me durood padh liya hai ab alag se durood padhne kya hajaat
ye hadees un na ahel aur kam jarf ilm logo k liye khuli nishani hai k
tumhara sirf namaz padhlena bhi kaafi nahi hai
jab tak habeeb e rabbil aalameen ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) pe durood na padho tumhari dua rab tak nahi jaati
aaj ye jaahil na ahel log waseela e mustafa ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) ko nauzuibillah shirk ka naam dete hai
phir bataye wo kam zarf log k dua me is durood ka kya matlab bana ?
Read All 26 Hadees