Hadees 14 :
Farmane MusTafa ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… )
" Shabe Juma Aur Roz E Juma Mujh Par Kasrat Se Durood Padho Kyuki Tumhara Durood E Paak Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai "[ Imam Tabrani Al Majmaul Ausat Vol : 01, Pg 86, Hadees : 231 ]
Hadees 15 :
Hazart Aws Bin Aws ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Se Riwayat Hai Ki
Huzoor E Akram ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) ne irshad Farmaya :
" Beshak Tumhare Dino Me Afzal Tarin Din Jum’a Ka Din Hai.[ Sunan Abu Dawood Vol : 01,Kitabus Salat,Baab Fazle Youme Jumaat, Pg : 443, Hadees : 1047 ]
isi Din Hazrat Aadam Alaihissalam Paida Hue
Aur isi Din Unhone Wafaat Paaee
Aur isi Din Soor Foonka Jaaega
Aur isi Din Sakht Aawaaz Zaahir Hogi.
Pas is Din Mujh Par Kasrat Se Durood Bheja Karo Kyun Ki Tumhara Durood Mujh Par Pesh Kiya Jaata Hai "
[ Al Musannif Ibn e Abi Shaibah Vol 06, Book : As Salah Chapter : 795 Pg : 40,Hadis: 8789 ]
[ Imam Bayhaqi, Sunan Al Kubra, Book : Al Juma'ah Chapter : 105 Jild : 3 Pg : 353 Hadis: 5993 ]
[ Imam Darimi, Sunan Darmi, Book : As Salah Chapter : Fee Fadl Yaum Al Jumu'ah Jild : 1 pg : 445 Hadis: 1572, Darmi As-Sunan, Jild-01, Pg-445, Hadith-1572 ]
[ Imam Majah, Sunan Ibn Majah, Book : As Salah wa Sunnah feeha Baab : Fadl yaum Al Jumu'ah Jild : 1 Pg : 345 Hadis: 1085 ]
[ Sunan Nasai, Book : As Salah Jild : 2 Pg : 101 Hadis: 1374 ]
[ Imam Tabrani, Ma'jam Al Kabeer Vol:1 Pg: 216-217 Hadis: 589 ]
[ Musnad e Imam Ahmad Bin Hambal, Vol:26 Pg:84 Hadis: 16162 ]
Hadees 16 :
Hazrat Abu Darda ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Riwayat Karte Hain Ki
Huzoor E Akram ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) ne irshad Farmaya :
" Jum’a Ke Din Mujh Par Nihaayat Kasrat Se Durood Bheja Karo,Hazrat Aboo Darda ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Bayan Karte Hain Ki Meine Arz Kiya
Yah Youm-E-Mas’hood (Yaani Meri Bargah Me Farishton Ki Khusoosi Haaziri Ka Din) Hai.
Is Din Farishte (Khusoosi Taur Par Kasrat Se Meri Bargah Me) Haazir Hote Hain,
Jab Koii Shakhs Mujh Par Durood Bhejta Hai To Us Ke Faarig Hone Tak Us Ka Durood Mere Saamne Pesh Kar Diya Jaata Hai. "
" Ya RasoolAllah ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ).! "Aap ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) Ne Farmaya :
aur Aap Ke Wisaal Ke Baad (Kya Hoga)...?
" Haa (Meri Zaahiri) Wafaat Ke Baad Bhi (Mere Saamne Isi Tarah Pesh Kiya Jaaega Kyun Ki)[ Sunan Ibn Maajah, Vol -01 , Pg-524, Kitab No 06 - Kitab Al Janaiz,Hadith-1637 ]
AlLah Ta’ala Ne Zameen Ke Lie Ambiya-E-Kiram Alaihimussalam Ke Jismon Ka Khaana Haraam Kar Diya Hai.
Phir AlLah Ta’ala Ka Nabi Zinda Hota Hai Aur Use Rizq Bhi Ata Kiya Jaata Hai. "
[ Mundhiri Tahdhib-ul-Kamal, Vol -10, Pg-23, Hadith-2090 ]
Hadees 17 :
Hazrat Abu Hurairah ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Se Marwi Hai Ki
Huzoor E Akram ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) ne irshad Farmaya :
" Jo Shakhs Bhi Mujh Par Salam Bhejta Hai To Beshak AlLah Ta’ala Ne Mujh Par Meri Rooh Lauta Dee Huee Hai.[ Sunan Abu Dawood, Jild-02, Pg-218, Kitab No 11 - Kitab Al Manasik Wa Al Hajj, Baab - Ziyarate Kaboor,Hadith-2041 ]
(Aur Meri Tawajjoh Us Ki Taraf Mabzool Farmata Hai) Yahaan Tak Ki Us Ke Salam Ka Jawab Deta Hoon. "
[ Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, Jild-02, Pg-527, Hadith-10767 ]
[ Imam Tabarani Al-Muajam-ul-Awsat, Jild-03, Pg-262, Hadith-3092, 9329 ]
[ Bayhaqi As-Sunan-ul-Kubra, Jild-05, Pg-245, Hadith-10050, &
Shuab-ul-Iman, Jild-02, Pg-217, Hadith-5181, 4161 ]
[ Ibn Rahawayh, Al-Musnad, Jild-01, Pg-453, Hadith-526 ]
[ Mundhiri At-Targhib Wat-Tarhib, Jild-02, Pg-326, Hadith-2573 ]
[ Haythami Majma-uz-Zawa'id, Jild-10, Pg-162 ]
aksar ahle sunnah wa jamaat sunni hazrat shab e juma ko mehfil e durood munakkid karte hai ye is wajah se hai k aam dino k mukable juma k din hadees e paak me durood e paak ki fazilat sabse zyada hai ab koi shask aise nek majlis munakkid karna haram o biddat kahe to aiso ka koi ilaaz nahi bugz e nabi ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) se sina bhara hai inka AlLah عزوجل nek hidayat de aiso ko.
Read All 26 Hadees