- Farishta ka Aaka ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) Par Durood E Paak bhejna to khud Quran e Mukaddas ki ayat Surah Ahzab Ayat 56 se saabit hai yaha hum Farishto ka zikr kar rahe hai Jo Darbar E Risalaat ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) me Aake Durood o Salam pesh karte hai.
Hadees 18 :
Hazrat Nabeeh Bin Wahab ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) se marvi hai ki
Hazrat Kaaab Abhaar ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Ummul Momineen
Hazrat Ayesha Siddika ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنها ) ki khidmat me haazir hue aur unhone
Huzur e Akram ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) ka zikr kiya.
Hazrat Kaaab Abhaar ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) ne kaha
" Jab bhi din nikalta hai 70000 hazar farishte utarte hai[ Imam Darmi ne Sunan Darmi jild 01 , pg : 57 , Hadis : 94 ]
aur wo Huzur e Akram ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) ki kabr e Akdas ko gher lete hai
aur Kabr e Akdas pe apna par maarte hai (yaani paro se jhaado dete hai)
aur Huzur ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) k Roze e akdas me sham hote hee wapas aasmano par chale jaate hai
aur itne hi mazid utarte hai wo bhi wo amal dohrate hai jo pehle k faristo ne kiya hatta k jab qabr e Mubarak shak hogi to Huzur ( صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… ) Sattar Harar 70000 farishto k jhurmut me (maidan e hashr me) tashreef laaynge. "
[ Abu Nuayam ne Hilyatul Aulia jild : 5 , pg : 390 ]
[ Imam Bahyaki ne Shuabul Imaan jild 03, pg : 1018, Hadis :537 ]
[ Ibn kathir ne Tafseer ul Quran al azeem Tafseer ibn kathir me Jild 05 pg : 518 ]
[ Jala al Afham Fi Fadhl Salati Ala Khayral Anam Pg : 60, Musannif Ibn Kayyim Jauziya ]
Read All 26 Hadees