Bukhaar Ko Bura Mat Kaho

AHANSARI786:
.
* Hazrat Abu Sayyed Khudari (Radi Allahu Ta'ala Anhu) Se Riwayaat Hai Ki,
Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya Ki,
Musalmaan Ko Koi Rang, Koi Dukh, Koi Fikar, Koi Taklif, Koi Musibaat Aur Koi Ghum Nahi Pahunchta,
Yaha Tak Ki Kaatha Jo Us Se Chube,
Magar Allah Ta'ala Un Ke Sabab Us Ke Gunaaho Ko Mita Deta Hai.
(Bukhari Muslim)
.
* Hazrat Abdullah Ibne Masud (Radi Allahu Ta'ala Anhu) Ne Kaha,
Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
"Nahi Pahunchti Musalmaan Ko Koi Taklif Marz Ya Uske Siwa Kuch Aur,
Lekin Allah Ta'ala Us Ke Chote Gunaho Ko Jhaad Deta Hai,
Jaise Darkht (Tree) Se Paatte Jhadte Hai.
(Bukhari Muslim)
.
* Hazrat Ibne Huraira (Radi Allahu Taala Anhu) Ne Farmaya,
Rasool-e-Kareem (Sallallahu Alihi Wasallam) Ke Pass Bukhar Ka Charcha Kiya Gaya,
To Ek Shaks Ne Bukhar Ko Bura Kaha,
Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Farmaya,
"Bukhaar Ko Bura Na Kaho",
Isliye Ki Wo (Momeen Ko) Gunaho Se Is Tarah Paak Kar Deta Hai,
Jaise Aag Lohe Ke Mail Ko Saaf Kar Deta Hai.
(Ibne Maaja)

AHANSARI786

All Text Goes Here ... !!!

No comments:

Post a Comment