Hazrat Ali Quotes in
Roman Eng [ 41-50 ]


🌺 Part 05 :

4⃣1⃣ MushKilat HameSha BehtaReen Logon ke HisSe main Aate Hai. kyunKi who uSko BehatReen TareeQe se Anjaam Dene ki SalaHiyat Rakhte Hai.

4⃣2⃣ HarGiz aiSe Shakhs ki Dosti iKhtiyar na kaRo jO TumHari Buraiyon ko Yaad Rakhe aur KhooBiyon ko Bhool jaye.

4⃣3⃣ jO Shakhs HameSha Tumhara Bhala Chahe, usKa uDas Hona TumhaRe liye Fikr ki Baat Hai.

4⃣4⃣ agar Rizq Aqal-O-DaniSh se Milta to Jaanwar aur BewaKoof zinDa Hi na Rehte.

4⃣5⃣ MusiBat main Ho to kaBhi yeh na SoCho ki kaunSa Dost kaam AayeGa? BalKi yeh SoCho ki Ab kaunSa Dost Chhod ke JayeGa?

4⃣6⃣ inSaan ke AanSu uS waQt MuqadDas Hote Hai, Jab who KiSi aur ki Takleef MehSus kar ke Nikle.

4⃣7⃣ AzaaDi ki Hifazat na karne wale Ghulami main Giraftar Ho Jata Hai.

4⃣8⃣ Jab inSaan NaarazGi Khatam karne main Pehl karTa Hai? to isKa yeh Matlab naHi ki who Ghalat Tha, isKa Matlab Hai ki uSe Aan se zyaDa Rishta Aziz Hai.

4⃣9⃣ Aye inSan agar TuJhe yeh Maloom Ho jaye ki sajDa ke Dauran Tujh Par kitNi RehmaTein naZil Hoti Hai? to Tu kaBhi sajDa se Sar UthayeGa Hi naHi.

5⃣0⃣ yeh Duniya kitNi Ajeeb Hai iMaanDar ko BewaQoof, Be-iMaan ko AqalMand, aur Behaya ko KhoobSurat kehti Hai.

MjD

All Text Goes Here ... !!!

No comments:

Post a Comment