Ek (1) Baar Durood Shareef Padhne Ki Fazeelat


- Hazrat Anas Bin Malik (رضي الله عنه) Riwayat Karte Hain Ki,
Huzoor Nabi-E-Akram (صلى الله عليه وسلم) Ne Farmaya,
" Jo Shakhs Mujh Par Ek (1) Baar Durood Bhejta Hai,
To Allah (عز و جل) Us Par Das-10 Rahmatein Naazil Farmata Hai,
Us Ke Das (10) Gunaah Maaf Kiye Jaate Hain,
Aur Us Ke Das-10 Darjaat Buland Kiye Jaate Hain. " 
[ Nasa’i As-Sunan, 04/50, Raqam-1297 ]
[ As-Sunan-ul-Kubra, 01/385, Raqam, 1120 / 10194 ]
[ Amal-ul-Yawm Wal-Laylah, 01/296, Raqam-362 ]
[ Bukhari Al-Adab-ul-Mufrad, 01/224, Raqam-643 ]
[ Ibn Abi Shaybah Al-Musannaf, 02/253, Raqam-8703 ]
[ Ahmad Bin Hanbal Al-Musnad, 03/102, Raqam, 12017 ]
[ Bayhaqi Shuab-ul-Iman, 02/210, Raqam-1554 ]
[ Hakim Al-Mustadrak, 01/735, Raqam-2018 ]
[ Al-Minhaj-us-Sawi, Safah-446, Raqam-492 ]

AHANSARI786

All Text Goes Here ... !!!

No comments:

Post a Comment