Hazrat Umer
( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه )
ka iMan Afrooz WaQia


Khalifa e Sani Hazrat uMar Farooq ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه )
nE 24 LaKh MurabBah Miles Per HaKoomat ki.
- Raton ko uTh uTh Ker Paira Detay Thay,
aur Logon ki ZaroRat ka Khayal RaKhtay Thay,
KehTay Thay Ager
Furaat K kinary eK Kutta Bhi PayaSa Marr Gaya to Kal Qayamat K Din uMar sE iSS Bary main Pucha Jaye Ga.
eK Dafa Aap ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) DarBar ka waQt Khatem Hony K Baad Gher Aye aur KiSi Kaam main Lagg Gaye,
- iTne main eK ShaKs Aya aur Kehnay Laga.
aye Ameer ul Monineen Aap Falan ShaKs sE meRa Haqq Dilwa Dijiye.
Aap ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) ko Buhat GusSa Aya aur Aap ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) nE eK DurRa uS ShaKs ki Kamar Per Mara aur Kaha,
Jab main DarBar LagaTa Hon uS waQat Tum Apnay MamLaat le Ker naHi Aatay.
aur Jeb main Gher K Kaam Kaaj main Masrrof Hota Hon to Tum Apni ZarooTain le Ker Aa Jaty Ho.
- Baad main Aap ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) ko Apni GhalTi ka EhSaS Hua toh Bohat PreeShan Hoye aur uS ShaKs ko ( JiSay Mara Tha ) Bulwaya.
- aur uS K Hath main DurRa Diya aur Apni Kamar Agay Ker K Kaha Mujhe Maro MaiNe Tum sE Zayati ki,
- waQat ka BadShah, 24 LaKh MurabBah Miles ka HuKamran eK Aam Aadmi sE Kah Raha Hai Maine Tum sE Zayati ki Mujhe woHi Saza Do.....

- uS ShaKs nE Kaha Maine Aap ko Maaf kiya,
Aap ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Kaha
naHi - naHi, Kal Qayamat ko Mujhe iSS ka Jawab Dena Pary Ga Tum Mujhe eK DurRa Maro Tah Kah TumHara Badla Pura Ho Jaye.
Aap ( رضي الله ﺗﻌﺎﻟﯽٰ عنه ) Rotay Jaty Thay aur Fermate Thay
" Aye uMar to Kaafir Tha
Zalim Tha
BaKriyaan Charaata Tha
AlLah nE Tujhe iSlam ki Dolat sE Mala Maal kiya
aur Tujhe Musalmano ka Khalifa Banya
Kaya to Apny Rab K EhSaano ko Bhool Gaya
- Aaj eK Aadmi Aa K Tujhe Kehta Hai Keh Mujhe meRa Haqq Dilao to to Osay DurRa Marta Hai
Aye uMar Kaya to Yah Samjh Baitha Kah to Mary Ga naHi ???
Kal Qayamat K Din Tujhe AlLah ko eK eK Amal ka HiSab Dena Pary Ga. "
- Hazrat uMar Farooq iSS Baat ko Duhraatay Rahy aur Bari Dair TaK Rotay Rahy. -

MjD

Phasellus facilisis convallis metus, ut imperdiet augue auctor nec. Duis at velit id augue lobortis porta. Sed varius, enim accumsan aliquam tincidunt, tortor urna vulputate quam, eget finibus urna est in augue.

No comments:

Post a Comment