Dr.Zaakir Nayak Kufriya Kalmaat"Hum Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Bhi Nahi Maang Sakte"

Kufr No 1:
"Dr Zakir Kehta Hai",
Hum Muhammad (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Bhi Nahi Maang Sakte.

* Answer:
(Ma'azallah)
.
*Ye Dikhe Hadees K Rasoollallah Se Mang Sakte Hain.
.
* Hadees: Rasoollallah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Farmate Hain Ke:
"Allah Dene Wala Hai,
Aur Main Taqseem Karne Wala Hu"
(Sahih Bukhari Sharif, Book No-53, Hadees No-346)
.
* Al-Quran:
"Tumhare Madadgar To Allah Or Rasulallah (Sallallahu
Ta'ala Alaihi Wasallam) Or Eman Wale Hain,
Jo Namaz Padhte Or Zakat Dete Hain,
Or (Khuda K Aage) Jhukte Hain".
(Al-Maidah,A-55)
.
* Ye Dekhe Sahaba Bhi Nabi Se Barkat Hasil Karte The,
Hazrat Anas (Radiallahu Anhu) Se Riwayat Hai:
"Jab Nabi Kareem (Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam)
Fajr Ki Namaz Se Faarig Hote,
To Madine Ke Log Bartano Mein Pani Lekar Aate Or Huzur (Sallallahu Ta'ala Alaihi
Wasallam) Barkat Ke Liye Un Mein Apna Haath Mubarak
Daalte".
(Sahih Al-Muslim, Jild-2, Page-256)
.
* Hazrat Abdullah Bin Atiq (Radi Allahu Anhu) Bayaan Karte Hain Ke,
"Main Upar Se Zameen Par Gira,
Or Meri Pindli (Pair) Toot Gayi,
Maine Use Apne Imame Se Bandh Liya,
Phir Main Nabi-E-Kareem (Slallahu Alaihi Wasallam) Ki Khidmat Mein Haazir Huwa,
Or Saara Waqiya Arz Kar Diya,
To Aap Ne Kaha Ke,
"Apna Pair Failao,
Main Ne Faila Diya To Aap Ne Us Par Apna Dast-E-Aqdas Phair Diya,
To Wo Aisa Ho Gaya Jaise Is Mein Shuru Se Koi Taklif Hi Nahi Thi".
(Sahi Al-Bukhari Kitabul-Maghazi,Hadees-1210).
.
* RasoolAllah Sallallahu Alaihi Waslam Ne (Ghazwa-E-
Khaibr) Me Pucha Ke
"Hazrat Ali Kaha Hai? Logn Ne Kaha Ke Unki Ankhon Mein Taklif Hai,
To "Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Apna "Luaab-E-Dehan"
Unki Ankhon Mein Lagaya,
Or Unki Liye Barkat Ki Dua Ki,
To Wo Is Tarha Shifa'yab Ho Gaye Jaise Taklif Hi Nahi Thi.
(Sahih Bukhari Ktabul-Jehad,Hadees No-263)
.
* Sahaba Ne Bhi Nabi Ko Waseela Banaya,
Ye dekhe
Al-Quran :
"Or Is Se Pahle Wo is Nabi Ke Waseele Se Kafiron Par Fatah Mangte The"
(Soora Baqarah,Ayat No-89)
.
* Al-Hadees :
"Hazrat Usman Bin Hanif Ko Hazoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Ye Dua Mangne Ka Hukum Diya,
(Aye Allah! Main Tere Nabi Ke Waseela Jaleela Se Teri Taraf Tawajja Karta Hu,
Ya Rasool Allah Main Aap Ke Waseele Se Apne Rab Ki Taraf Apni Hajat Ke Baare Mein Muwajja Hu,
Taake Wo Poori Ho Jaye,
Ya Allah Tu Mere Baare Mein Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Shafaat Qabool Farma).
(Tirmizi Sharif,Jild Awal, Abwabuddawa,Hadees-1504,Pg No.653)
.
* RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Khutbe Me Ansaar Se Farmaya Ke,
"Kya Tum Log Gumrah Nahi The?
Allah Ne Meri Wajha Se Tumhe Hidayt Bakhsi,
Or Muttafriq (Bikhre Huwe) Na The?
Allah Ne Meri Wajha Se Mohabbat-O-Ulfat Ata Farmayi,
Tum Mohtaaj The Meri Wajha Se Allah Ne Tumhe Gani Kar Diya,
Sahaba-E-Keram Har Bar Yahi Farmate Rahe Ke,
"ALLAH Or USKA RASOOL"
Hum Par Bahot Ahsaan Farmate Hain.
(Sahih Bukhari Kitabul-Maghazi Hadees-1461)
(Sahih Muslim Kitabul-Zakat Hadees-2342)
.
* Aap Faisla Kijiye Agar Sarkar Takseem Kar Rahe Hain,
Or Hum Sunni Musalman Unse Mange To Kya Burayi Hai?

AHANSARI786

All Text Goes Here ... !!!

No comments:

Post a Comment