Kya Mazaaro Par Jana Haram Hai?

Kya Mazaaro Par Jana Haram Hai??????
.
* Answer:
Mazaar Par Jaana Ambiya,Sahaba,Auliya Aur Naik Bando Ki Sunnat Hai.
.
* Jaise Ki Ye Wahaabi Log Kehte Hai Ki Hum Log Qabron Ki Puja Karte Hain,
Yaani Ke Hum Log Allah Ke Saath Kisi Aur Ki Ibadat Karte Hain,
Aur Ye Shirk Hai.
(MazAllah)
.
* To Aap In Logon Ko Ye Hadeesein Dikha Sakte Hain:
.
* Musnad Ahmed 5/428
23680,
Nabi Kareem (Sallallahu Alaihe Wasallam) Ne Farmaya
"Main Tum Pe Jis Cheez Se Darta Hoon Wo Hai Shirk Al-Asgar(Chota Shirk),
Sahaba Ne Pucha Ye Shirk Kya Hai,
Aap (Sallallahu Alaihe Wasallam) Ne Farmaya
"Riya Yaani Dikhawa"
Nabi Kareem (Sallallahu Alaihe Wasallam) Ne Shirk Al-Akbar Nahi Kaha Jo Ke Allah Ke Saath Kisi Aur Ki Ibadat Karne Ko Kaha Jaata Hai,
Balke Kaha Shirk Al-Asgar Jo Ke Riya Hai (Dikhwa In Ibadat),
Ye Is Baat Ki Dalil Hai Ke Is Ummat Mein Koi Shirk Nahi Karega.
.
* Dusri Hadees,
Sahi Muslim-485,
Nabi Kareem (Sallallahu Alaihe Wasallam) Ne Farmaya
"Maine Tumhe Qabron Ki Ziyarat Karne Ko Mana Farmaya Tha,
Lekin Ab Tum Qabron Ki Ziyarat Kar Sakte Ho."
.
* Allah Behter Jaanta Hai Ke Muslim Log Aage Jaake Kya Kareinge,
To Agar Wo Log Shirk Kareinge Qabr Par Jaake,
To Kya Allah Ke Nabi Hume Kabhi Qabron Ke Paas Jane Ka Hukum Dete?
.
* Ye Wahabi/Ahle Khabees Log Phir Aise Kaise Bol Sakte Hain.
.
* Teesri Hadees,
Sahih Bukhari Book-56,Hadees-803,
Nabi Kareem (Sallallahu Alaihe Wasallam) Ne Farmaya
"Kuch Log Aise Aayenge Jo Doosro Ko Jahannam Ki Taraf Bulayenge,
Aur Jo Log Unko Maneinge Wo Log Jahannam Mein Phek Diye Jaayenge."
.
Sahaba Ne Arz Ki
"Ya Rasoollallah Unke Bareim Mein Batayiye".
To Aap(Sallallahu Alaihe Wasallam) Ne Farmaya
"Wo Humare Honge,
Aur Wo Humari Zubaan Bolenge"
Sahaba Ne Kaha Agar Meri Zindagi Mein Aisa Ho To Kya Karu,
Huzoor (Sallallahu Alaihe Wasallam) Ne Farmaya,
"Jamaah Musalmano Aur Unke Khalifa Ke Saath Raho".
.
* In Wahabeeyon Se Kaho Ke Aaj Sabse Badi Jamaat Wo Hai,
Jo Dargha Pe Jaate Hain Aur Jo Muqallid Bhi Hai.
Quran Mein Allah Farmata Hai,
"Tum Sabse Behtareen Ummah Ho."
[Soorah Aali-Imraan 3:110]
.
* Ye Kaise Ho Sakta Hai Ke Sabse Behtareen Ummah Mein Sabse Zyada Mushrik Ho?
.
* Aur Ek Hadees,
Nabi kareem (Sallallahu Alaihe Wasallam) Ne Farmaya,
"Main Us Shaks Se Darta Hoon Jo Quran Ko Padhlega,
Aur Uska Chehra Munnwara Ho Jayega,
Aur Wo Ayega Islam Ko Bachane,
Ye Jab Tak Allah Chahta Hai Tab Tak Hoga,
Phir Usse Ye Sab Kuch Le Liya Jaayega,
Jab Wo Ye Sabhi Cheezon Ko Apne Peeth Ke Peache Rakh Dega,
Aur Talwaar Lekar Apne Padosi Ko SHIRK Ka Fatwa Degaa,
Sahaba Ne Arz Ki In Mein Se Shirk Ka Haqdar Kaun Hoga,
Nabi Kareem (Sallallahu Alaihe Wasallam) Ne Farmaya Wo Jisne Shirk Ka Fatwa Diya,
(Yaani Ke Padosi Nahi Balke Wo Jisne Padosi Ko Mushrik Kaha).
.
* Ye Sabhi Hadees Bilkul Sahi Hai,
Aur Ye Wahabiyon Ke Zubaan Se Bhi Nikla Hai Ke Ye Sabhi Hadees Sahi Hai.
.
* Is Hadees Se Ye Pata Chala Ke Dusron Ko Mushrik Kehna Galat Hai,
Aur Ye Ho Sakta Hai Ke Dusron Ko Mushrik Kehne Se Khud Wo Log Hi Mushrik Ho Jaaye.

AHANSARI786

All Text Goes Here ... !!!

2 comments:

  1. ap ko koi haq nahi pohanchta kisi ko wahabi kehny ka kya ap 100% sunni ho her sunat per amal kerty ho pehly apny ap ko dekho

    ReplyDelete