[Updated on 15-July 2016]
* Kya Eid Miladun-Nabi صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… Manana Jayaz Hai Ya Najayaz Hai...?
# Sawal 1 –33 Sala Daur-e-Nabuwat Me 12-Rabiul-
Awwal Ko Manayi Jane Wali Eid,
Ya Nikale Jane Wale Julus Ka Koi Sabot Milta Hai To Hawala Dijiye?
.
* Jawab :
Sabse Pehle Milad Ke "Lagvi" Aur "Istelahi" Mayne Padhiye!!
Milad Ko "Lugat" Me Kahte Hai,
"Bachcha Janna",
"Istelah" Me Iske Mayne Hai Ki Nabi-e-Karim Ki Wiladat Ki Khushi Me,
Aapke "Moja;zat" Aur Khasaeel-w-Seerat,
Aur Shumal Bayaan Karna Milaad Manana.
- Quran Ki Roshni Me Milad-Un-Nabi صَÙ„َّÙ‰ اللّٰÙ‡ُ عَÙ„َÙŠْÙ‡ِ ÙˆَسَÙ„َّÙ… Ki Haqiqat.
1. Al-Quran:
Aur Yahya Par Salaam Ho Unke Milaad Ke Din,
Aur Unki Wafaat Ke Din,
Aur Jis Din Wo Zinda Uthaye Jayenge.
(Sureh Al Maryam,Aayat:15)
2. Al-Quran:
Aur Salaamati Ho Mujh (Hazrat Eisaa
(Alaihi Salaam) Par Mere
Milad Ke Din,
Aur Meri Wafaat Ke Din,
Aur Jis Din Me Zinda Uthaya Jaunga.
(Sure Maryam,Aayat:33)
3. Al- Quran:
Me (Allah) Is Shaher (Makkah) Ki Qasam Khaata Hun,
(Aye Habib Alaihi Salaam) Is Liye Ke Aap Is Shaher Me Tashreef Marma Hon (Aap Ka Milaad Huwa Hai),
(Aye Habib Alaihi Salaam Aap Ke) Waalid Ki Qasam Aur Qasam Unki (Aap Ki),
Jinki Wiladat (Milad) Huwi Hain.
(Sureh Al-Balad,
Aayat:1-3)
- Mazkura 3 (Teeno) Qurani Aayat Se Sabit Hai,
Ke Nabiyon Ne Apni Wiladat (Milad) Par Salaamati Bheji Hai.
[ KhuLaSa Teeno Quran ki Aayat ka ]
1 (Pahli)
- Quraani Aayat Me Khud Allah Ne "Hazrat Yahya" (Alaihi Salaam) Par Milad Ke Roz Salaamati Bheji Hai.
(Note:Jab Milaad Na-
Jaiz Hota To Allah Khud Milaad Ke Roz,
1 (Ek) Nabi Ko Salaamati Kyun Bhejta),
2 (Dusri)
- Quraani Aayat Me "Hazrat Eisaa" (Alaihi Salaam) Ne Khud Apne Milad Par Apne Hi Aap Ko Salaamati Di Hai.
(Note: Jab Milaad Na-Jaiz
Hota To Hazrat Eisaa (Alaihi Salaam) Khud Apne Hi Milaad Ke Roz Salaamati Kyun Bhejte).
3 (Teesri)
- Quraani Aayat Me Khud Allah Ne Makkah Ki Qasam Khaayi Hai,
Is Liye Nahi Ke Wahan Kaaba Hai Ya Safa Marwa Ya Hajr-e-Aswad Wagaira Hai,
Balke Isliye Allah Ne Qasam khayi,
Ke Aye Mehboob Aap Ka Milaad Aur Rehna Isi Makkah Shaher Me Hain.
(Note: Jab Milaad Na-Jaiz Hota To Allah Khud Milaad Ke Liye 1-Nabi Ke
Shaher Makkah Ki Qasam Kyun Khaata).
- - - - - - - - - -
- Nabi-e-Karim Ne Khud Apna Milad Manaya:
Hazrat Qatadah (Radi Allahu Anhu) Bayaan Farmate Hain,
"Ki Baargaahe Risalat (Sallallahu Alaihi Wasallam) Me Arz Ki Gayi,
Yaa Rasoolallah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Aap Peer(Monday) Ka Roza Kyo Rakhte Hain,
Rasoolallah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Farmaya,
"Ki Is Din(Day) Main Paida Huwa Aur Isi Din(Day) Mujh Par "Wahi" Nazil Huwi.
(Sahih Muslim,819/2–
Raqam 1162 Imam Bahqee)
- Neez Hadees Se Sabit Hai Ki Nabi-e-Karim Ne Wiladat Ki Khusi Me Baqra Zibah Farmya.
(Imam Suyuti Al-Hawi,Al-Fatawa,1/196,Hasan-ul-Maqsad Fi Amal-ul-Molid,65)
- Is Se Malum Huwa Ke Milad Manana Sunnat-e-Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) Hai.
Jaha Tak Baat Hai Murawajja Tarike Se Eid Miladun-Nabi (Sallallahu Alaihi Wasallam) Manane Aur julus
(Procession) Nikalne Ki,
To Iska Jawab Ye Hai Ki Jaise Jaise Zamana Tarakee Karta Hai Log Har cheez Achche Se Achche Tarike Se Karte Rahe,
Jaise Pehle Masjidein Saada(Simple) Huwa Karti Thi,
Ab Ise Aalishan Banaya Jata Hai,
Achche Se Achche Carpet Lagaye Jate Hain Khud Decore Kiya Jata Hai,Marble Lagya Jata Hai.
Pehle Quran-e-Paak Sada Kagaz Aur Jild Me Hote The,
Par Ab Ise Khubsurat Tarike Se Print Kiya Jata Hai,Khubsurat Jild Chadhai Jati Hai,
Jis Se Quran-e-Paak Dekhne Wale Ko Door Se Hi Khubsurat Lage,
Isi Tarah Pehle Milad Saada(Simple) Andaaz Me Hota Tha Sahaba-e-Kiram Aur Tabayin Apne Gharo Par Mahfil Munakad (Rakhte) Kiya Karte The,
Aur Sadqa Aur Khairat Kiya Karte The.
- Juloos Nikalna SAHABA Ki Sunnat :
Jab Aaqa (Alaihissalam) Hijrat Kar K MADINA Sharif Aaye,
To Logon Ne Khub Jashn Manaya,
Naojawan Larke Apni Chatton Par Charh Kar Aur Gulam,Khuddam Raasto Me Phirte The,
Aur Nara'Ae Risalat Lagate Aur Kehte,
YA RASOOLALLAH
(Muslim J2 / Pg,419) Baab-e-Karam
- Conclusion
in Sabhi Quran e Aayaat aur Ahadees se yeh Sabit Howa k Milad un Nabi ï·º ManaNa Jaiz H... to LeHaza is Main Koi Shak naHi
No comments:
Post a Comment